Wo kyu nahi aaya

Bahut kar liya intezaar ab,  bahut hua ab raah dekhte
ab to mujhe batado ye ki wo kyu nahi aaya

Uski khatir sabkuch chora bas usse hi nata joda 
aane ka to waqt ho gaya lekin wo kyu nahi aaya

Aankhe sukh chuki hain ab to, palak nahi jhapkai jati
In ankho ka pani lejane wala wo kyu nahi aaya

Uski pasand ka libaas h pehna, tohfe me usko dunga ye gehna
Is gahne ko pehnne wala akhir wo kyu nahi aaya

Chuke mujhe labo se jisne kaha tha ki me tumhari ruh me hu
Ye jism se ruh satane wala ab tak wo kyu nahi aaya

Jiske didaar bina na din na meri rena hoti h
ye subho shaam jagane wala wo kyu nahi aaya

use pata hai reh nahi sakta aur judai sah nahi sakta
Fir bhi yu tadpane wala, baat h kya? Wo kyu nahi aaya

Aj tham gai meri saanse aankhe sada ke liye band hui
Gaud me mera sar rakhwane wala ab bhi wo kyu nahi aaya ….





Comments

Popular posts from this blog

तीस्ता का सौंदर्य [Hindi Poem on River]

To all my Dear ones

Andhvishwas ek kahani Part-4 [Story in Hindi]