Mera ji chahta hai

Nahi katta waqt kasak milne ki rehti hai.
Har ghadi didar ko mera ji chahta h.

Yu saahil ke jese do kinare hain dono.
Milke tujhme khudko mitane ko mera ji chahta hai.

Waqt ki pabandi hai ya uski darkaar hai.
Tod du us diwar ko mera ji chahta hai.

Intzaar hai do jism se ek jaan hone ka.
Ruh ko ruh me basane ko mera ji chahta hai.

Aagosh me bharke tujhe beta rahu pahro .
Sabkuch tujhpe lutane ko mera ji chahta hai.

Zindagi teri chaao me bitane ki hasrat hai.
Wohi mera akhiri sansaar ho mera ji chahta hai.

Pyar jitna kiya hai wo badhta hi rahega.
Janmo tak barkaraar rahe mera ji chahta hai.

Comments

  1. Jaise saptrangi neelamber se uttar kar
    Koi apsara baithi ho apni taron se saji phoolon ki sej par,
    Intezaar hai uski ankhon apne priyatam ka,
    Jis ke intezar mai sajaai thi palken or saji thi dharti zar zar

    ReplyDelete
    Replies
    1. ki barso hai rakha jo prem mene,
      apne is pagal dil me sahej kar....
      aj khuda ne diya hai us pyar ko dikhane ka hasi pal,
      tujhe sada ke liye meri duniya me bhej kar....

      aj tu meri baho me hogi
      jannat bhi meri panaaho me hogi
      aj miljaenge hum tujhse is kadar
      ki hamari surat ek duje ki nigaaho me hogi...

      Thnx bro to continue the chain.

      Delete
  2. Jhalak ko jiski ek, tarasti thi duniya har sar,
    woh haseen baitha aaj meri har ek nazar par,
    usko dekhun ya du dua us rab ko,
    jisne dikhaya mujhe yeh sandal rukhsar


    Dear bro
    Sab apki sangat ka asar hai

    ReplyDelete
  3. Tujhse milke laga ki Meri zindagi adhuri thi
    Paas tha sabkuch par fir bhi khud se duri thi
    Aj us ishq ke khuda ko mera shukriya hai
    Ki jine ka sabab ab jo usne diya hai.....

    Meri sangat achhi bhi ho sakti hai?
    well bro nice to c here again

    ReplyDelete
  4. Sabab mila mujhe jab utha ghunghat tera,
    Hua antardhuand man mai jab dekha chehra tera,
    Pighle suraj ki neelima jaisa rang tera,
    Is Milanyamnini ko yaadgar banata har andaj tera,
    Khushbu sandal ki mehek uthi tere deedar par,
    Tod du saari haadein or mita dun saari doorian ab ahi mera ji chahta hai,

    Mera ji chahta hai, mera ji chahta hai

    ReplyDelete
  5. chand ka didaar karke sochta tha me jise
    aj wahi chand bankar tu mere rubaru hai
    tere nur ki chamak se roshan hai jaha mera
    tere hi dam se khil uthi fir se meri har aarzu hai
    banake apni saanse tu ab khud me mujhe panaah de
    Har dhadkan me teri bas jau mera ji chahta hai

    mera ji chahta hai................

    ReplyDelete
  6. jain sahab kuch or start karo ab,

    ek hamne start kiya hai,

    darshan dekar kirtarth kare hamein

    ReplyDelete
  7. Are bade bhai kritarth to apne ye khke kar diya h

    ap bataiye kya start karu apka hukm sar aankho pe
    ap hi chote bhai se mil jaiye aake

    ReplyDelete
  8. Ek shuruat hai "TUM", hamare blog 'Vikasrajoriya's' par

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Andhvishwas ek kahani Part-4 [Story in Hindi]

तीस्ता का सौंदर्य [Hindi Poem on River]

सोने की चिड़िया- भाग-१