virhaa ki chubhan


piya bin chen na aave
kshan kshan piya ki yaad satave

kyu virhan mohe bana diyo hai
nirmam  dard mohe laga diyo hai
daah badh rahi meri jab dekhu me duje jodan ku
kese dur karu apne ji me he rahi tutan ku
aaye aur sahalaye mere keshan me apne haathan ku
me unki akhiyan me khoke sunat rahu unki baatan ku
bin dekhe ab sakhi kahu ka mope ab bilkul raho na jave

piya bin chen na aave
kshan kshan piya ki yaad satave

Unki ek chuan hi meri virhaa ku ab dur karegi
Hriday ki har pida  ab unke aavan se hi bharegi
Baat joh rahi hu kabse ab aur dheeraj rakho na jaave
Kaho piya se marjaungi aur na ab mohe wo sataave
Saat vachan leke wo mohe chor gayo hai
Hr vachan pe agan sakshi rakhke vachan ko tod gayo hai
Kachu na maangu ab me tose bas ab puri umar sang bitave.

piya bin chen na aave
kshan kshan piya ki yaad satave

Comments

Popular posts from this blog

Andhvishwas ek kahani Part-4 [Story in Hindi]

तीस्ता का सौंदर्य [Hindi Poem on River]

सोने की चिड़िया- भाग-१