JAI BHARAT MATA

#poemonmotherlandinhindi

DEKHO HO GAYA KYA SE KYA INSAAN NA AB INSAAN RAHA
SABKUCH MAATI ME HI MILEGA FIR BHI JANE Q ABHIMAAN RAHA
GHAR KI SAFAI ME KAR KA MEL NA DEKHE BAS SAFAI KA HI DHYAAN DHARE
AAO MILKAR SATH ME HUM NAYE BHARAT KA NIRMAAN KARE

GAI SWADESHI LAHAR DESH SE JO BACHI H BS WO KAHANI HAI
APNI HINDI AJ HUI HINDUSTAN ME HI BEGAANI HAI
KHAND KHAND ME DESH BATAA HAI TAMIL,MARATHI TELANGANA
AKHANDTA ME EKTA JESE BANA JA RAHA  HAI AFSANA

ISI TARAH SE TUT TUTKE ALAG ALAG HO JAYENGE
CHAND DINO ME HUM KHUD KO FIRSE ZANJIRO ME JAKDA PAYENGE
AB TO KISI GANDHI,AZAD,BHAGAT SINGH KI BHI AAS NAHI
PUCHLE BIMAR PADOSI KA HAAL ITNA BHI SAMAY AB PAAS NAHI

YA TO KHUD KO GHULAM BANADE YA PURKHO KA MAAN DHARE
AAO MILKAR SATH ME HUM NAYE BHARAT KA NIRMAAN KARE

HAR TARAF HUM PYAAR,AMAN,APNEPAN KA HI UJALA FELAYE
DESH KE PRATI HO NISHTHA HAMME CHAHE KISI MULK ME BAS JAYE
APNE SHARIR KA ANG KOI BHI JB BHI CHOTIL HOTA HAI
US EK ANG KE LIYE APNA HAR ANG BHI JESE ROTA HAI

WAISE HI  BHARAT MATA KI KAYA KE ABHINN ANG HAIN HUM
SUNDAR UNHE BANANE WALE ALAG ALAG WO RANG HAIN HUM
MILKAR SATH RAHENGE TO SUNDAR,SUDRAN,SAMRIDDH HAIN HUM
SATH BINA KUCH AUR NAHI EK NIRIH, ROGI SE VRIDDH HAIN HUM

BHASHAO KI BINA PE GAR HUM DESH KO APNE BATENGE
BOENGE VINAASH KE HI BIJ HUM DURBHAAGYA SE WOHI KATENGE
SOCHO JISKO MATA MANA ASHRUPURIT HI RAHTI HOGI
JAB USKI HI SANTAANO KI KHUN KI NADIYA BAHTI HOGI

MILKE SARE APNI BHARAT MAA KE HAR HISSE KA UTTHAN KARE
AAO MILKAR SATH ME HUM NAYE BHARAT KA NIRMAAN KARE











Comments

Popular posts from this blog

तीस्ता का सौंदर्य [Hindi Poem on River]

To all my Dear ones

Andhvishwas ek kahani Part-4 [Story in Hindi]