Andhvishwas ek kahani Part-2 [Story in Hindi]
Ek din achanak uski nazar us par padi aur fir use
sbkch yaad aa gaya man me dard bhi tha aur hairat bhi thi.usi vesh me fr aaya
aur kaali mandir chhorne ko kaha.is br wo chup tha kuch bola nahi.utarte waqt
ek tamra patra deke bola roz raat 12 baje nahake iska jaap karna bigadte kaam
banenge aur khushiya aaegi”.usne socha koi pagal hai ya dhongi hai jane do.”me
dhongi nahi hu azma ke dekh fayda na ho to dekhna aur haan jab krna kisi ko
pata nahi chalna chahiye”tamtamaya sa wo bola to suryansh bhi ghabra sa gaya.
Wo ja chukka tha.khud ko sambhalte hue wo university pahucha.
Office pahuchte hi
usne wo tamra patra nikala aur wo mantra padhne laga.mantra khatm hua hi tha ki
use principal ne bulaya aur ek lifafa badhate hue kaha”Mubarak ho Mr. suryansh
tumhara promotion ho gaya hai”khush hote hue bola”dhanyawaad sir ap logo ka
sahyog hi hai jo mujhe yaha tak le aya h”
Kahkar office se nikla hi tha ki sahkarmiyo ne ghera
aur party ki farmaish ki aur usi sham usne party bhi di.Parivaar me khushi
chaai thi.agle din subah jb patni shirt dhone daal rahi thi achanak uske hath
me wo tamra patra aa gaya.
Patni ke puchne par usne sab bata diya.Patni bhi
samajhdaar thi usne kaha “hum subah shaam puja aur arti krte hain bas aur kuch
krne ki zarurat nahi h”.baat khatm hui wo tayaar hoke chal diya din bitne lage.
Comments
Post a Comment