Mera ji chahta hai
Nahi katta waqt kasak milne ki rehti hai. Har ghadi didar ko mera ji chahta h. Yu nadiya ke jese do kinare hain dono. Milke tujhme khudko mitane ko mera ji chahta hai. Waqt ki pabandi hai ya uski darkaar hai. Tod du us diwar ko mera ji chahta hai. Intzaar hai do jism se ek jaan hone ka. Ruh ko ruh me basane ko mera ji chahta hai. Aagosh me bharke tujhe betha rahu pahro . Sabkuch tujhpe lutane ko mera ji chahta hai. Zindagi teri chaao me bitane ki hasrat hai. Wohi mera akhiri sansaar ho mera ji chahta hai. Pyar jitna kiya hai wo badhta hi rahega. Janmo tak barkaraar rahe mera ji chahta hai.
Comments
Post a Comment