ANKHE AUR DIL
Ankhe aur dil aapas me hi jhagad bethe.
Ek sharir ke do ang apas me hi lad bethe.
Ankhe boli-
“Janti hu tujhe toda gaya hai bedardi se e dil
Par meri nami ko kyu mujhse judakar raha hai?
Samajh nahi aata ki mere sath tu kyu
Aur tere sath ye sab kyu khuda kar raha hai?
Dil ne kaha-
“teri wajah se hi me is khalish me pada hu
Teri inaayat ke chalte hi aaj is mod pe khada hu
Tujhe lagta hai ki ki in haalato ke liye tu bekasur hai
Are teri wajah se hi aaj har pal majbur hai”
Ankhe boli-
“mujhe dosh kyu dete ho tum khud hi to sachhe the
Jisko bhi mene dekha wo sab shaksh tere liye ache the
Kisi ko galat nahi mana itna sabpe aitbaar tha
Koi chhalega kabhi tumhe is baat se bhi inkaar tha
Aaj jab chhale gaye to itne to itne khafa aur hairaan ho gaye
Tese tujhe todne ke liye kiya mene hi waar tha”
Dil fafakke bola-
“Maaf karde mujhe haan me hi galat tha
Me hi us sangdil ke liye itna nat tha
Haan aitbaar kiya mene kyuki sabko khud ki tarah samajhta tha
Har koi bs saafdil aur sachha, apne jesa hi lagta tha
Lekin khud tak ab me kisi ko kabhi na laaunga
Waada hai tujhse ki ab tujhe zara bhi nahi bhigaunga”
Comments
Post a Comment