ANKHE AUR DIL
Ankhe aur dil aapas me hi jhagad bethe. Ek sharir ke do ang apas me hi lad bethe. Ankhe boli- “Janti hu tujhe toda gaya hai bedardi se e dil Par meri nami ko kyu mujhse judakar raha hai? Samajh nahi aata ki mere sath tu kyu Aur tere sath ye sab kyu khuda kar raha hai? Dil ne kaha- “teri wajah se hi me is khalish me pada hu Teri inaayat ke chalte hi aaj is mod pe khada hu Tujhe lagta hai ki ki in haalato ke liye tu bekasur hai Are teri wajah se hi aaj har pal majbur hai” Ankhe boli- “mujhe dosh kyu dete ho tum khud hi to sachhe the Jisko bhi mene dekha wo sab shaksh tere liye ache the Kisi ko galat nahi mana itna sabpe aitbaar tha Koi chhalega kabhi tumhe is baat se bhi inkaar tha Aaj jab chhale gaye to itne to itne khafa aur hairaan ho gaye Tese tujhe todne ke liye kiya mene hi waar tha” Dil fafakke bola- “Maaf karde mujhe haan me hi galat tha Me hi us sangdil ke liye itna nat tha Haan aitbaar kiya mene kyuki sabko khud ki tarah sa...