WO KAAYA GORI CHITTI SI


Dekha hai usko dhote hue patthar, aur dhote baalu mitti bhi
Wo kumhalaai hui jawani aur pasine me, dabi wo kaya gori chitti si.

Yovan ki laharati shaakho ko, tod rahi hai aandhi naseeb ki
Har mosam me tadap bhari hai, har bahaar hai bas raqeeb si.

Jab taraasha hua jism ughad jata hai bojh uthaate
Kai vahashiyat bhari nigaaho ke us par hain baadal chaate.

uske husn ke gulshan ka Koi phool todna chaahta hai
koi uski majburi se uska badan marodna chahta hai.

dari dari aur saahami sakuchaai bachti hui kaam se,karti hai kaam
dhal jate isi luka chipi me uske din aur uski shaam.

jab thakan use todte hue jism ka por por dukhati hai
sabki tarah uski bhi yovan ki tadap badh jati hai.

lekin na koi thaamne wala jo thaamle use hamesha ke liye
na ki chand palo me bas sharir ki bujhane pipaasa ke liye.

bas us kshan ke intezaar me guzaarti hai wo yu hi jiwan apna
ki patthar aur mitti se pare kabhi to sach hoga uska sapna.

Comments

Popular posts from this blog

तीस्ता का सौंदर्य [Hindi Poem on River]

To all my Dear ones

Andhvishwas ek kahani Part-4 [Story in Hindi]