KYA YE HAI MAANAVTA


Sharmsaar hai maanavta maanav ke hi desho me
janm le rahe hain bhediye insaano ke bheso me...

Jis kokh se janme usi zaat ko bedardi se tabaah kar rahe
sahej ke rakhti izzat us izzat ka sar e raah daah kar rahe...

nahi h koi rokne wala baad awaz uthe to kya..
chand dino tak khamoshi fir hota h ek gunaah naya

jawab jaanwar ko gar mile unhi ki bhasha main
tabhi darenge samajik janwar khud ke jiwan ki asha main...

Dhara hai tab tak jab tak yaha stri ka wajud rahega..
warna chand palo me hi kaynat ka har ek khamb dhaega....

pyaas to shwaan bhi hain bujhate,par maanav to shwaan nahi hota...
vivek vinay maanav ki pehchaan isiliye janwar insaan nahi hota ...

kuch to lihaaz karo sanskriti ka is dharti maa ka dhyaan karo
maa kahte ho jisko uski gaud ka thoda maan karo….

Maa bahan betiya to hain tumhari bhi gar ye koi unke sath kare…
Utaarde aabru kahi bhi uski uski asmat pe aaghaat kare…

Tab tum kya sochoge vahashiyo ya tum bhi sath unhi ka doge
Ban jao insaan ho sake warna ye din bhi tum zarur dekhoge…..

Comments

Popular posts from this blog

तीस्ता का सौंदर्य [Hindi Poem on River]

To all my Dear ones

Andhvishwas ek kahani Part-4 [Story in Hindi]