Andhvishwas ek kahani Part-5 [Story in Hindi]
Jb ye bhayavah deewangi charam par thi ki ek din usi
baba ne use kaha "tujhe beshumaar
dolat,khushiya,aur jo bhi tu chahta h tujhe sab mil jaega bas apne putra ki
bali deni hogi maa chandi ke samne.tu inkaar nahi kar skta wada kiya tha ki jo
manguga wo dega.”
Aj to insaaniyat bhi ro pade wo din dikha diya
tha.aur insaan kis had tak ja sakta h uski bhi parakashtha dekhne ko mili ki
antardwand krte krte wo apne bête ki bali dene ko tayaar ho gaya.
Aah! Aj jese duniya se pyar khatm sa ho gaya apne
bête ki bali? Jin bachho ke liye maa baap khud ko kho dete hain yaha ek pita
apni kalpit khushiyo ke liye apni sabse badi khushi ko bali dedega? Wo beta
jiski kilkari se hi jese puri duniya ki khushiya dono hatho me aa gai ho.jese
sare dukh,gham,pida sb bête ke aane se alvida kh gaye.wo beta jo vansh ko aage
lejaega.uske jiwan ki dor pita khud apne hatho se tod dega?
Chehre pe apraadh bodh tak nahi tha.kher jb chetna
shithil ho chuki h to kuch bhi ho sakta h. ghar pahuch gaya aur amavas wali
shaam ko apne bête ko ghumane le jane ki khke wo jane ke liye tayaar hone
laga.patni ko shak hua qki jisne apne bête ko mahino se sine se nahi lagaya
bachhe paas jaye to dutkar dene wala achanak ghumane le ja raha h,use shak hote
hi usne kaha “chalo me bhi chalungi bahut dino se gaye bhi nahi hain”.suryansh
ke upar jese vajrapaat hua usne chillate hue kaha ki “nahi me bas mradul ko
leke jaunga”.bechari saham gai mana bhi kese karti le jane se.
Comments
Post a Comment