Andhvishwas ek kahani Part-4 [Story in Hindi]

Sunta bhi kese ab lalach man me ghar kr gaya tha.lalach shaitani pravrati ka aadhar hota h falswarup wo andha hota chala gaya adhi raat jgke jaap krta subah bhagwan ki arti kiye bina university chala jata.ghar me kalah panapne lagi.subah shaam bhagwan ki arti band kr di.bas sochta rhta ki ab aur taqatwar kese banu ki jo chahu wo mil jaye.wo baba bhi nahi dikhte ab .yahi sochta hua jar aha tha ki is br fr wo dikhai diya aur bina kuch kahe usne gadi rok li. Baba bola nahi aj me shamshaan ke paas wale chandi mandir jaunga.wo path bhrashta suryansh bhi use waha chorne ke liye chal pada.
Creepy and haunted places
Sahi khte hain jb bura samay aata h to akl pahle bhrasht ho jati h wahi ho raha tha.samay se university aane jane wala,parivaar ke sang samay vyatit krne wala vyakti ab ek andheri raah pe ja raha tha jo h usko chorke jo apna na tha na h na hoga use pane chal pada tha.waha chorte hi us baba ne purana tamra patra leke kaha “kuch der ruko me aata hu”.

Wo murkho ki trh wahi betha raha chutti leli thi college se.shaam ko jake wo baba shamshaan ke andar wale chandi mandir se bahar aaya uska pura rup badla hua tha haddiyo aur narmundo ka haar badi si jataye kaala choga hath me ek murde ki adjhali si unglithi aate hi bola”is ungli ko ek laal kapde me band krke apne ghar me chipake rakhde na teri hr manokamna puri hogi lekin tujhe pran krna hoga ki hr amavas ki phli raat tu mera diya hua mantra padhega aur jis din ye jaap khatm karega us din me jo mangu wo mujhe dega.wo to bahut khush tha turant haan kar diya ki jo mangega wo dega.use laga kalptaru hi mil gaya ho. Us ungli aur mantra ko leke wo ghar aa gaya.


Ghar me rhke bhi parivaar se dur rhne laga khud ka vesh bhi badal liya tha dadhi badhali,kisi se milna julna nahi.lottery,jua,khelte khelte nasha krne laga dhire dhire uske dost dur ho gaye university bhi lagbhag jana band sa kr diya tha.dean khud aaye samjhane pichle ache vyavhaar ki wajah se lekin kaan pe ju tak na rengi.

Comments

Popular posts from this blog

तीस्ता का सौंदर्य [Hindi Poem on River]

To all my Dear ones