Andhvishwas ek kahani Part-3 [Story in Hindi]
Ek din gaon k ek vyakti jo waha suryansh ka padosi tha usne phone
kiya aur kaha “bhaiya mukhiya ne apke kheto pe kabza kar liya h”.
Wo gaon pahucha aur mukhiya se baat ki,baat court
tak pahuch gai. zamin ke kagaz kaha rakhe the use bhi nahi pata tha.kagaz
dhundhne ke maksad se wo gaon ke ghar me hi kuch waqt ke liye ruka lekin wo
kagaz nahi mila.raat ko takriban 11 baje wo adhsoya sa khaat par pada tha ki
uski nazar tamra patra par padi jo galti se uski pocket diary me rakhke chala
aya tha.usne socha chalo aj isko azma hi lete hain.
12 baje nahake usne jaap (chanting) ke liye andar ke
kamre me jaha ghar ka purana saman rakha tha jake jaap krne laga jaap khatm hui
ki achanak ek billy ki awaz aai jese kuch gira ho usne us trf jake dekha to ek
baksaa gira pada tha use uthate waqt us jagah padi jis jagah kapda sa zamin pe
bicha hua tha usne wo kapda hataya ki ek lakdi ka bana hua darwaza sa dekha jo
pakki zamin me alag sa hi tha use hatate hi use andar ek baksaa dikhai diya
jisme zamin ke ghar ke sare kanuni kagzad rakhe the.aur anttah wo case jeet
gaya.
Comments
Post a Comment