Andhwishwas ek Kahani [Story in Hindi]

Amaanviya vyavhaar,rakshashi pravrati,shaitan shaktiyo ki puja sadiyo se dharm virodhi Tantrik karte chale aa rahe hain ye Tantrik koi aur nahi humme se hi ek hain jinki bhayavani ichhaye,tantra,mantra,baliyo ke krne se unhe lagta h wo amar honge takatwar ban jayenge bhagwan ban jayenge.isi bhukh ke bhadakne se ek sachha insaan bhi us raste gaya jaha wo kabhi soch bhi nahi sakta tha.

Suryansh naam tha uska apne gaon me pehla vyakti jo Phd. kiya aur Phd krke shahar ki hi university me itihaas ka professsor ho gaya. gaon me sab ese khush the ki jese koi tyohaar ho uske ghar ke liye to tyohaar hi tha parivaar ke naam par sirf pitaji the jo kisaan the aur kheti se hi unhone apna bharan poshan kiya aur suryansh ko padhaya aur aj unki mehnat suryansh ki lagan aur tatparta safal hui.ab uski shadi ke liye baat chalne lagi thi sahi waqt bhi tha uski hi mausi jo 40 mil dur hi rhti thi uska vivaah apne gaon ki hi ladki se karwa diya.ab parivaar pura ho gaya tha.shadi ke baad apni patni ko leke wo shahar aa gaya aur pyar se rhne lga. Zindgi bahut pyar se guzar rahi thi.5 saal guzar gaye suryansh 2 sundar bachho ka pita ban chukka tha.ek beta naam mradul ek pyari si beti naam rakha payal.

Ek din university jate waqt bich raste me usko ek buzurg mila dadhi jese raakh ke rang si bade baal mela kuchla sa wo kambal jese kuch chupa raha ho ankho me laal se dore jb paas se use dekha to wo khud jese sihar gaya.usne suryansh ko rukne ka ishara kiya.wo bhi ruk gaya.wo buzurg bola “bachhe mujhe kali mandir pe chhor de “ usne bhi betha liya socha university se pehle hi padta h chor deta hu.anmane man se usne betha liya. Kuch dur chalne pe wo bola ki “tune gadi kyu roki” suryansh ne jawab diya”ap buzurg hain apne roka to madad krne ke liye mene apko bitha liya”.ajib si nazro se use ghura aur ankhe band krke jese kuch budbudaya.

Mandir aa chuka tha  usne utarne ke liye gadi roki,utarte hue bola “apne pitaji ko sambhal unhe teri jarurat h”khke chala gaya.suryansh bhi use jate hue dekhta raha aur sochta raha ki esa q kaha.

isi uhapoh me apni office me jake betha aur uski kahi baat sochta raha  ki achanak uske gaon se phone aaya ki pitaji nahi rahe.jese sabkuch tham sa gaya us pal,bahut tez dhakka diya ho kisi ne esa mehsus hua .baharhaal wo chuttiya leke apne parivaar ke sath gaon chala gaya.pita ka daah sanskaar krke terhavi krke wo laut aya aur fir zindgi usi raftaar se chalne lagi. Us buzurg ka wakaya dimag me dhundhla gaya tha.akhir pita ki maut ka sadma  kuch yaad rhne bhi kese de.

To be continued......

Comments

Popular posts from this blog

Andhvishwas ek kahani Part-4 [Story in Hindi]

तीस्ता का सौंदर्य [Hindi Poem on River]

सोने की चिड़िया- भाग-१