Andhvishwas ek kahani Part-3 [Story in Hindi]
Ek din gaon k ek vyakti jo waha suryansh ka padosi tha usne phone kiya aur kaha “bhaiya mukhiya ne apke kheto pe kabza kar liya h”. Wo gaon pahucha aur mukhiya se baat ki,baat court tak pahuch gai. zamin ke kagaz kaha rakhe the use bhi nahi pata tha.kagaz dhundhne ke maksad se wo gaon ke ghar me hi kuch waqt ke liye ruka lekin wo kagaz nahi mila.raat ko takriban 11 baje wo adhsoya sa khaat par pada tha ki uski nazar tamra patra par padi jo galti se uski pocket diary me rakhke chala aya tha.usne socha chalo aj isko azma hi lete hain. 12 baje nahake usne jaap (chanting) ke liye andar ke kamre me jaha ghar ka purana saman rakha tha jake jaap krne laga jaap khatm hui ki achanak ek billy ki awaz aai jese kuch gira ho usne us trf jake dekha to ek baksaa gira pada tha use uthate waqt us jagah padi jis jagah kapda sa zamin pe bicha hua tha usne wo kapda hataya ki ek lakdi ka bana hua darwaza sa dekha jo pakki zamin me alag sa hi tha use hatate hi use andar ek baksaa dikhai diya ...