Andhvishwas ek kahani the end [Story in Hindi]

Wo leke chalne laga to usne bhi picha krna shuru kiya,use shamshaan pe rukte dekh wo andar tak kaanp gai.maa ki mamta ghayal ho gai hai “mera beta mere samne kaha tak le jaya gaya wo bhi mere pati uske pita ke dwara hi.” Khud ko sambhalte hue usne police ko phone kr diya aur dabe paanv piche chaldi .mradul us baba ko dekhke dar se rone laga.wo baba muskuraya aur uske sar pe vaaar krke use behosh kr diya aur suryansh se bola”aj tune chandi ko prasanna kiya h me aj amar hojaunga  aur tujhe manchaahi sabhi chize mil jaegi.
Horror and Paranormal activities
Balivedi pe apne bête ko us baba ke ishaare se le jane laga.use dekh patni chillate hue aai aur boli “ ye ap kya kr rahe hain? Apne ansh ko khud mitane ja rahe hain jisko sardi bhi ho jati thi to raat bhar sote nahi the.jisko chot lag jati to apke ansu nikalte the aur aj ap uska khoon khud bahayenge kuch nahi chahiye hame bas hum apni pehle ki zindgi me hi khush rahenge.bhagwan ke liye ye anarth mat kijiye chahe to ap meri jaan lelijiye”

Baba bola “ye tujhe bhatka rahi h ja ise yaha se bahar chhorke aa”

Wo bhi chal dia .aj usne apni us patni pe hath uthaya jisko hr trh se khush dekhna chahta tha jiski hr khwaish puri krna hi apna kartavya samajhta tha jise bahut pyar krta tha.patni ke sath haathapai krte krte uske baho pe bandhi tabiz khul gai aur wo jese nind me se jaaga.jese bura sapna dekhke utha ho uska sar dard se phatne laga tha.patni bhi ghabrai si use apni baho me leke beth gai.udhar wo Tantrik us maasum ki bali dene ja hi raha tha ki patni chikhi.ek goli chalne ki awaz aai baba ke muh se awaz nikli aur wo zamin pe gir pada aur kuch hi samay me police ne usko giraftaar kr liya.suryansh to nazre milane kabil nahi rah gaya tha uski patni ne police ko sabkuch bataya.inspector ne kaha” mujhe bharosa nahi hota ki ap jesa padha likha insaan itna andhvishwasi ho sakta hai.are apki sabse badi dolat apki santaan h.is baba par to narbali ke pehle se hi case chal rahae hain faraar tha.Shukriya madam ki apki wajah se hum isko pakad sake.aur ap professor sahib sharm kijiye aur aj se in sab me ap na pade,agar ye apko is trh se sbkch dila skta h to ap unse jake miliye jo isi trh ki balivedi me apne bachho ki jaan de chuke hain.haasil sivay jail aur ansu ke kuch nahi hua.jail to apko bhi hogi.chaliye apko bhi giraftaar kiya jata hai.aur is baba ko me ab zinda nahi le jaunga wrna fr se masumo ke liye khatra ban jaye,pehli goli to per me mari thi na ab ye sine pe(goli chalte hi us rakshash ke pran pakheru udgaye)”

Suryansh ko 6 maah ki qaid hui.purane sadvyavhaar ke chalte dean ne use usi jagah bahaal kiya aur ek darawane sapne ki trh se wo waqt bita aur bahut kuch sikha gaya ki hamari kismat me jo h wo hame milega iska matlab ye nahi ki karm karna hi chhorde.jo hamare paas h uski khushi honi chahiye naki ki jo nahi h uske liye rona.

Laalach kabhi krna hi nahi chahiye haan krna hi h to pyaar ka sahyog ka laalach karo lekin is laalach me apko bhi wo sb dena hi padega.sirf achhai ke hi sath rahiye lakho taro ki chamak dikhaye lekin buraai hamesha kali andheri amavas ki raat si hi hoti hai aur uska ant sada bhayanak hi hota h. Is kahani ka sirf ek hi uddeshya h andhvishwaas ka kalushit parda anhkho par kabhi na padne de sirf bhagwan ki sabse badi nemat jise pyar kahte hain use hi sahejke rakhiye kabhi kisi chiz ki kami mehsus nahi hogi.

Comments

Popular posts from this blog

Andhvishwas ek kahani Part-4 [Story in Hindi]

तीस्ता का सौंदर्य [Hindi Poem on River]

सोने की चिड़िया- भाग-१