Posts

Showing posts from June, 2014

Andhvishwas ek kahani Part-5 [Story in Hindi]

Jb ye bhayavah deewangi charam par thi ki ek din usi baba ne use kaha "tujhe  beshumaar dolat,khushiya,aur jo bhi tu chahta h tujhe sab mil jaega bas apne putra ki bali deni hogi maa chandi ke samne.tu inkaar nahi kar skta wada kiya tha ki jo manguga wo dega.” Aj to insaaniyat bhi ro pade wo din dikha diya tha.aur insaan kis had tak ja sakta h uski bhi parakashtha dekhne ko mili ki antardwand krte krte wo apne bête ki bali dene ko tayaar ho gaya. Aah! Aj jese duniya se pyar khatm sa ho gaya apne bête ki bali? Jin bachho ke liye maa baap khud ko kho dete hain yaha ek pita apni kalpit khushiyo ke liye apni sabse badi khushi ko bali dedega? Wo beta jiski kilkari se hi jese puri duniya ki khushiya dono hatho me aa gai ho.jese sare dukh,gham,pida sb bête ke aane se alvida kh gaye.wo beta jo vansh ko aage lejaega.uske jiwan ki dor pita khud apne hatho se tod dega? Chehre pe apraadh bodh tak nahi tha.kher jb chetna shithil ho chuki h to kuch bhi ho sakta h. ghar pahuch gay...

Andhvishwas ek kahani Part-4 [Story in Hindi]

Sunta bhi kese ab lalach man me ghar kr gaya tha.lalach shaitani pravrati ka aadhar hota h falswarup wo andha hota chala gaya adhi raat jgke jaap krta subah bhagwan ki arti kiye bina university chala jata.ghar me kalah panapne lagi.subah shaam bhagwan ki arti band kr di.bas sochta rhta ki ab aur taqatwar kese banu ki jo chahu wo mil jaye.wo baba bhi nahi dikhte ab .yahi sochta hua jar aha tha ki is br fr wo dikhai diya aur bina kuch kahe usne gadi rok li. Baba bola nahi aj me shamshaan ke paas wale chandi mandir jaunga.wo path bhrashta suryansh bhi use waha chorne ke liye chal pada. Sahi khte hain jb bura samay aata h to akl pahle bhrasht ho jati h wahi ho raha tha.samay se university aane jane wala,parivaar ke sang samay vyatit krne wala vyakti ab ek andheri raah pe ja raha tha jo h usko chorke jo apna na tha na h na hoga use pane chal pada tha.waha chorte hi us baba ne purana tamra patra leke kaha “kuch der ruko me aata hu”. Wo murkho ki trh wahi betha raha chutti leli thi ...